Home Forums SOCIAL ISSUES Jawab ki taak mai

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
  • Author
    Posts
  • #811
    Aaomilkebaatkare
    Participant

    Ek baat ka jawab chaiye tha, bahut time se dimag mai tha. Kehte hai ki har chize ka logic hota hai ya scientific reason hota hai.. toh mandir mai pooja karte huye ghanti kyu bajate hai? Usse noise pollution nahi hota? Vaise toh dj raat ko 10 bje ke baad band karva dete, toh pooja jab din mai hoti tab noise pollution nahi hota? Tab disturbance nahi hoti logo ko? Sirf isliye ki vo bhagwan ke liye hai, isliye iss chiz par dhyaan nahi dete hum?

    #822
    bond007
    Participant

    Sanatan dharam me har cheej k peeche logic hai. Deepak jala k pooja karna or ghanti bajane k peeche bhi scientific reason hai. Ghanti taambe ki banati thi or usse bajane se jo dhwani utpan hoti thi vo bahut positive waves deti thi. Ghanti ki dhwani rythm me bajne par mann ko aanand milta hai or uski awaj se keet, patange, jo raat ko aate thhe, vo bhi chale jaate hai. Ghanti ki awaj positivity to deti hi thi saath hi uski awaj se logo ko pata chal jata tha mandir me aarti ho rahi hai. Ghanti ki awaj to bimar aadmi ko bhi achi lagti hai.

    #823
    Chiku
    Participant

    Ghanti ki awaz ka volume and DJ ka volume, kaise compare ho sakta hai. Gazab ki baat kar di. Ghanti ka scientific reason poochho woh samajh mein aata hai par DJ se comparison and ghanti se sound pollution. Meri toh hansi hi nahi ruk rahi…

    #832
    shribala
    Participant

    Aaj kal log apne gharon mein wind chimes lagate hain ye bol ke ki un se positive energy aati hai pehle wo nhi hote the aur bahut saalon pehle toh logon ke gharon mein personal mandir bhi bahut cum hote the aur morning mein ghanti nhi ghanta bajta tha mandir ka log jaldi se mandir pahunch ke bhagwan ke darshan kar ke parsad aur charanamrit le kar aate the aur apna din is positive energy ke saath shuru karte the .Kuch log sham ki aarti mein aisa karte the .Ab jo ghanti ghar mein bajti hai aur aarti karte hain wo agar ek system ke saath dheere dheere tune ke saath bajayenge toh aap ko wahi energy jo wind chimes lga kar aap ko feel hoti Hai ,us se bhi acchi energy is ghanti se feel hogi ,try kar ke btana but zor zor se aur bina लय ke mat bjana लयबद्ध तरीके se bjana.

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
  • You must be logged in to reply to this topic.