Home Forums BEHAVIOUR/ EMOTIONAL ISSUES BEHAVIOUR/ EMOTIONAL ISSUES

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
  • Author
    Posts
  • #312
    brijktiwari
    Participant

    BEHAVIOUR/ EMOTIONAL ISSUES ARE ALSO A BIG CHALLENGE IN TODAY’S LIFE STYLE. IT IS VERY DIFFICULT TO DEAL WITH SUCH ISSUES BECAUSE IT IS NOT ALWAYS OTHER’S BEHAVIOUR WHICH CREATE TROUBLE FOR US BUT AT TIMES IT MAY BE OUR OWN ISSUE OR BEHAVIOUR WHICH CREATE PROBLEM. THE BEST EXAMPLE OF THIS IS “EGO”. WE ALL KNOW THAT IT EXISTS AND CREATE PROBLEMS BUT ARE UNABLE TO CONTROL IT. SO TO HELP ALL, THIS PLATFORM IS A GOOD OPTION FOR EVERYONE.

    • This topic was modified 2 years, 11 months ago by brijktiwari.
    • This topic was modified 2 years, 11 months ago by brijktiwari.
    #402
    shribala
    Participant

    Yes, Ego ek Relationship ko bna ke rakhne mein bahut badi problem hai lekin is mein bhi bahut ajeeb ek baat hai kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki ek person ye sochta hai ki dusra jo bhi hai wo ego ke karan us ki baat nhi maan rha ya us ke saath rude behave kar rha hai jab ki wo first person khud hi apni ego ke kaaran aise sochta hai aur us ko ye pta hi nhi chlta ki khud us ki ego hi un ka relationship bigaad rhi hai,is problem ka yahi solution hai jab bhi humein kisi ke liye ye feel ho ki is person mein kitni ego hai hum apna behaviour bhi judge kar ke dekhein, Shayad kuch samajh aa jaye .

    #680
    shribala
    Participant

    Behaviour toh itna bada topic hai ki discussion toh endless hai,ek hi person do logon se baat karta hai ,
    Pehla : Sharma ji kitne acche insan hain, main toh jab bhi milta hun bahut hi garamjoshi se milte hain aur itne acche se baat karte hain aisa lagta hai mera bhai hi mil gya.
    Doosra: Arrey Aaj ye Sharma hai na is ne rok liya tha kitna dikhavebaaz hai aise meetha bolta hai ekdum naqli lagta hai mujhe aise bnawati log bilkul acche nhi lagte.
    Teesra: Jo dono ki baat alag alag sun kar aa rha hai ,Samajh nhi aa raha Sharma kaisa hai aur mujhe toh wo dono bhi nhi samajh mein aaye ,kaun kaisa hai ,mujhe kya lena.Ab is sab mein aap ki Samajh mein kya aaya kaun kaisa hai 😄😄Ab hum dekhein is mein sab alag alag sochenge apne apne sawbhav ke anusar Pehle ki do quality pta chalti hai, Social hai ,sab se milna accha lgta hai impress bhi jaldi hota hai.Dusra reserve nature hai aur jyada baat nhi pasand ,Teesra mast jyada nhi sochta.Lekin teeno ya yun kahiye Sharma ji ko mila ke charon ko hum sab bhi apne apne nature ke anusar judge karenge ,bura koi nhi hai bas alag hain.

    #819
    radhey
    Participant

    Bilkul sahi kaha aapne harek ka apna alag najariya hota hai tabhi to ek hi insan kisi ko acha or kisi ko bura lagta hai. Isiliye humme apna najariya thik karne ki jarurat hai.

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
  • You must be logged in to reply to this topic.