Oh dear Solace, aapne toh mere Dil ki baat kah di. Mujhe bhi bahut dukh hota hai jab bachche anaap shanaap khate hai, smoking karte hai, drinks lete hai, der se sona, der se uthna….
Yeh log apna jiwan barbaad kar rahe hai. Yeh sab inn materialistic chheejo mein khushi dhoond rahe hai. Yeh khushi tikati nahi.
Inhone subah jaldi uthkar track suit pehn kar running karne ka sukh experience kiya hi nahi toh ye kya jaane. Subah ki thandi thandi hawa, birds ki chirping n exercise kaise din bhar ke liye taro taza kar deta hai. Aur mera manana hai ki agar koi subah uth kar exercise, walk, running,etc ka schedule bana le toh woh apne aap buri aadato se dur hota jayega kyunki tab woh permanent happiness ko feel karega, apni healthy body ko feel karega.
Iss generation ko aise habits dalne ke liye parents ko mehnat karni padegi. Sirf kehne se nahi hota. Unko khud bhi karna hoga. “Walk the talk” batana hoga. Jab bachche parents ko karte dekhenge toh unpar alag asar hoga.